कोहनी का कालापन दूर करने के घरेलू उपाय


Hatho ki dekh bhal aap khub karti hai. Inka manicure karwati hai, lekin kiya kabhi kali kohni par dhyan diya apne. Kohniyo ka Kalapan aksar mahilayo ki sundrta me dag ki tarah najar aati hai. Kiya aap bhi is samssya se kafi parsan hai. Agar ha to kohani saf karne ke liye kare ye upaye.

Jis tarah hum sharir ki safai par adhik dyan dete hai, theek usi tarah se sharir ke baki ango ki safai bhi jaruri hai. Gardan, Pith, Kohani, Ghutne, Talve aise ang hai jinke ceare na kare to hamari sundrta bigad sakti hai. Kuch aise tarike hai jinka istemaal karke aap ghar par hi apni kohni ki darkness hatane ke liye kar sakte hai or chamkdar kohni bana sakti hai. Aaiye jaane ki kon kon se upaye hai ye.

Kohni Ka Kalapan Dur Kaise Karte Hai?

Dark Elbows ka kalapan hatane ke liye aap niche diye gaye gharelu Nhskhe apna sakte hai.

1. Coconut Oil
Kohniyo se kalapan hatane ke liye coconut oil best hota hai. Isme Vitamin E hota hai. Jo twcha ko rukhi hone se bachata hai or twacha ko moisturize or hydrate kar usme nikhar lata hai. Iske alawa yah kati fati aur kali padi twacha ko bhi sahi karta hai.

Har bar nahane ke bad kohniyo par Nariyal ka Oil lagaye aur ek se do minute malish kare. Rukha pan hatane ke liye aisa din me do teen bar kare. Ek bada chammach Nariyal Tel me aadha cmmach Nimbu ka ras milaye or is misran ko kohnai par ragde. 15 se 20 minute aise hi laga rahne de aur phir paper tawal se poch le aisa din me ek bar kare.

Iske alawa aap coconut ka oil me ek bada chammach Akhrot pis kar milaye is gade pest ko week me 2 ya 3 bar lagaye apki kohniyo ka kala pan nikal jayega.

2. Beking Soda
Bankin Soda bhi kohniyo ka kalapan dur karne me fayedemand hota hai. Yah kohniyo ke charo or huye pigmentation ko kam karta hai. or Mrat-kosikao ko hatata hai.

Kalapan hatane ke liye ek bada chammach dudh or ek bada chammach baking soda milakar paste banaye. Is past ko kali kohniyo par lagayeor hath ko gol gol ghumate huye ragde. Aisa 2 se 3 minute tak kare. Is paste ko gun gune pani se dhoye or toliye se halke hath se poche. Aisa ek din chodkar ek din kare.

Iske alawa badam ko bhigo kar unhe pis le. usme dahi milaye or is paste ko kohniyo par lagaye. aur gol gol ghumate huye ragde Apki kohniya saf ho jayegi.

3. Nimbu
Nimbu me prakritik bleach hone ke sath Exfoliation ke gun bhi hote hai. Isme vitamin C hota hai, jo twacha ke rang ko halka kar ke Mrat-kosikao ko hatata hai.

Nimbu ka ras kohniyo par ragde aur kuch der halke halke malish kare. Iske bad 20 minute aisa hi rahne de aur phir garm pani se dhole. Iske bad moisturizing lotion lagaye.

Ek nimbu ka ras nikale or isme ek bada chammach sahad milaye. Is misran ko kali khohniyo par lagaye aur 20 minute aise hi rahne de. Iske bad pani se dho le. Aisa har roj kare. Yaad rakhe nimbu lagane ke bad kam se kam 3 hours dhup me na jaye.

4. Yogurt
Yogurt twacha ke liye bahut achha hota hai. Isme lactic acid hota hai, jo twacha ke rang ko halka karta hai. Yah twacha ko moisturize karke isko saf bhi karta hai.

Ek chota chammach sirka or ek chota chammach sada Yogurt milakar paste banaye. Is pase ko kali kohni par ragde or iske bad sukhne de. Garam pani se dho le, toliye se sukhaye or moisturize lagaye. Aisa week me 2 bar kare.

Do bada chammach besan or ek bada chammach yogurt milakar gada paste banaye. Isko kali kohani par ragde or 20 minute ke liye chod de. aguliya gili karke is paste ko hataye or pani se dhoye. Aisa hafte me 2 – 3 bar kare apki kohni gori hokar chamak uthegi.

Apne yaha jana kohani se kalapan hatane ke gharelu upchar. Aise hi usfull health tips ki jankari ke liye visit karte rahe How To Kaise.

एक टिप्पणी भेजें

यहाँ पर आपको मिलती है हेल्थ न्यूज, डेली हेल्थ टिप्स और ताजा स्वास्थ्य जानकारियां। इसके साथ ही जीवनशैली और चिकित्सा जगत में होने वाली नयी खोजों से अवगत भी कराते हैं हम।